Sunday, 25 December 2016

Namaaz ka Masnoon Tareeqa - 2

Namaaz ka Masnoon Tareeqa

Haath baandhne ka Tareeqa


1) Daahne haath ki hatheli baayein haath ki hatheli ki pusht par rakhna. (Bukhari: 740, Shaami: 2/172, Sunanus Salaah)
2) Chhoti ungli aur angoothhe se halqa bana kar gatte ko pakadna. (Muatta Imaam Muhammad ma'a Sharhihi: 2/62; Shaami: 4/19, Baab Sifatis Salaah, Fasl)
3) Beech ki teen ungliyon ko kalaai par rakhna. (Muatta Imaam Muhammad ma'a Sharhihi: 2/62; Shaami: 4/19, Baab Sifatis Salaah, Fasl)
4) Naaf ke neeche haath baandhna. (Abu Dawud: 758, Shaami: 4/18, Sunanus Salaah)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Saturday, 17 December 2016

Namaaz ka Masnoon Tareeqa - 1

Namaaz ka Masnoon Tareeqa

Qayaam aur donon haathon ko uthhaane ka tareeqa

1) Takbeer-e-Tahreema ke waqt seedha khada hona aur sar ko na jhukaana. (Sura-e-Baqarah: 238, Shaami: 3/479, Sunanus Salaah)

2) Takbeer-e-Tahreema ke waqt donon haathon ko kaanon tak uthhaana (Takbeer-e-Tahreema ke waqt haathon se kaanon ka chhoona zaroori nahin hai) (Muslim, Shaami: 4/4, Baab Sifatis Salah, Fasl)

3) Hatheliyon ko qible ki taraf rakhna. (Tabraani Kabeer: 711, Ibn-e-Umar (raz); Shaami: 4/4, Sunanus Salaah)

4) Ungliyan ko apni haalat par rakhna yaani na ziyaada khuli rakhna aur na ziyaada band rakhna. (Sahi Ibn-e-Khuzaima: 459, Abu Hurairah (Raz); Shaami: 3/476, Sunanus Salaah)

5) Donon pairon ke darmiyaan (kam se kam chaar ungal ka) faasla rakhna aur pairon ki ungliyaan qible ki taraf rakhna. (Nasai: 893, Abdullah Bin Mas'ood (raz); Shaami: 3/384, Bahasul Qiyaam)

6) Haalat-e-Qayaam mein nigaah ko sajde ki jaga rakhna. (Sunanul Kubra Lil Baihaqi: 3686, Anas (raz); Shaami: 3/489, Aadaabus Salaah)

7) Sana padhna. (Abu Dawood: 758, Abu Hurairah (raz); Shaami: 4/18, Sunanus Salaah)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Friday, 25 November 2016

Kalimaat-e-Namaaz

Takbeer-e-Tahreema (Namaaz shuru karte waqt kahe):

Allaahu Akbar

Tarjama: Allah sab se bada hai. (Tirmizi: 238)

Ruku ki tasbeeh:

Subhaana rabbiyal 'azeem

Tarjama: Main apne azeem Rab ki paaki bayaan karta hoon. (Tirmizi: 261)

Tasmee'a (Ruku se uthhte huwe kahe):

Sami'allaahuliman hamidah

Tarjama: Allah Ta'ala ne sun li us shakhs ki jis ne us ki ta'areef ki. (Bukhari: 722)

Tahmeed (Ruku ke baad seedha khada ho jaaye to kahe):

Rabbanaa lakal hamd

Tarjama: Aye hamaare Rab tamaam ta'areefein tere hi liye hain. (Bukhari: 722)

Sajde ki tasbeeh:

Subhaana rabbiyal a'alaa

Tarjama: Main apne buland Rab ki paaki bayaan karta hoon. (Tirmizi: 261)

Tasleem (Salaam pherte waqt kahe):

Assalaamu 'alaikum wa rahmatullaah

Tarjama: Tum par salaamati aur Allah ki rahmat ho. (Tirmizi: 295)

Sana:

Subhaanakallaahumma wabihamdika wa tabaarakasmuka wa ta'aalaa jadduka walaa ilaaha gairuk

Tarjama: Aye Allah! Hum teri paaki ka iqraar karte hain aur teri ta'areef bayaan karte hain aur tera naam bahot barkat waala hai aur teri buzurgi bartar hai aur tere siwa koi ibaadat ke laaiq nahi. (Tirmizi: 242)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp


Namaaz ki tarkeeb

Namaaz ki tarkeeb

Namaaz padhne ke liye ba wuzu qible ki taraf rukh kar ke khade ho jaaye aur jo namaaz padhna ho us ki niyyat dil mein kar le, jaise Fajr ki namaaz ya Zohar ki namaaz padh raha hoon. Yeh niyyat zabaan se bhi kehna behtar hai. Niyyat karne ke baad donon haath donon kaanon ki lau tak uthha kar Takbeer-e-Tahreema "Allaahu Akbar" kahe aur donon haath naaf ke neeche baandh le.
Phir Sana padhe: "Subhaanakallaahumma wabihamdika watabaarakasmuka wa ta'aala jadduka walaa ilaaha gairuk",

phir Ta'awwuz "A'oozubillaahi minash shaitaanirrajeem" padhe,

phir Tasmiyah: "Bismillaahirrahmaanirraheem" padhe.

Phir Sura-e-Faatiha padhe,

Sura-e-Faatiha padhne ke baad aahista se "Aameen" kahe.

Phir Qur'aan-e-Kareem ki koi Surah padhe maslan: "Surah-e-Kausar"

Phir "Allaahu Akbar" kehte hue ruku mein jaaye,

phir ruku ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal 'azeem" kam se kam teen martaba padhe,

phir "Sami'allaahu liman hamidah" kehte huwe itmenaan se seedha khada ho jaaye,

phir "Rabbanaa lakal hamd" kahe, agar Imaam ke peeche ho to Imaam ke "Sami'allaahu liman hamidah" kehne ke baad "Rabbanaa lakal hamd" kahe.

Phir "Allaahu Akbar" kehte huwe sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal a'alaa" kam az kam teen martaba padhe,

Phir "Allaahu Akbar" kehte huwe doosre sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal a'alaa" kam az kam teen martaba padhe,

phir "Allaahu Akbar" kehte huwe doosri rakat ke liye seedha khada ho jaaye.

Phir "Sura-e-Faatiha" padh kar koi surah padhe maslan: "Sura-e-Ikhlaas"

aur isi tarah doosri rakat poori kar ke qa'ade mein baithh jaaye.

Phir Tashahhud padhe: "Attahiyyaatu lillaahi…" aakhir tak. Jab "Ash-hadu" par pahonche to beech ki ungli aur angoothhe se halqa bana le "Laa ilaaha" kehte huwe shahaadat ki ungli uthhaaye aur "Illallaah" par ungli jhuka de magar halqe ki haalat ko namaaz ke akheer tak barqaraar rakhe,

phir Durood Shareef padhe "Allaahumma Salli 'alaa Muhammadin…" aakhir tak,

phir Duaa-e-Maasoora padhe "Allaahumma innee zalamtu nafsi…" aakhir tak,

phir "Assalaamu 'alaikum wa rahmatullaah" kehte huwe pehle daayein jaanib salaam phere phir baayein jaanib, is tarah do rakat namaaz poori hui.

Agar teen ya chaar rakat waali namaaz padh raha ho to "Attahiyyat" ke baad fauran teesri rakat ke liye khada ho jaaye aur (farz namaaz ke alaawa) bataaye huwe tareeqe ke mutaabiq baqiya rakatein poori kar ke Qa'ada-e-Akheera mein baithh jaaye (Farz namaaz ki teesri aur chauthi rakat mein sirf Sura-e-Faatiha padhe aur koi surah na padhe) aur Attahiyyat, Durood Shareef aur Duaa-e-Maasoorah padhne ke baad salaam pher kar namaaz mukammal kare.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, 30 October 2016

Tashahhud (Attahiyyaat)

اَلتَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، اَلسَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلٰى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِيْنَ، أَشْهَدُ أَنْ لَّآ إِلٰهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُوْلُهٗ

Attahiyyaatu lillaahi wassalawaatu wattaiyyibaatu, assalaamu 'alaika aiyyuhannabiyyu warahmatullaahi wabarakaatuh, assalaamu 'alainaa wa'alaa 'ibaadillaahissaaliheen, ash-hadu allaa ilaaha illallaahu wa ash-hadu anna Muhammadan 'abduhoo warasooluh

Tarjama: Tamaam zabaani ibaadatein aur Tamaam badni ibaadatein aur Tamaam maali ibaadatein Allah hi ke liye hai. Aye Nabi! Aap par salaam ho aur Allah ki rahmat aur us ki barkatein ho, salaam ho hum par aur Allah ke nek bandon par, main gawaahi deta hoon ke Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur main gawaahi deta hoon ke (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur us ke Rasool hain.

(Bukhari: 1202)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Durood Shareef

اللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍوَّعَلٰى اٰلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلٰى إِبْرَاهِيْمَ وَعَلٰى اٰلِ إِبْرَاهِيْمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَّجِيدٌ، اللّٰهُمَّ بَارِكْ عَلٰى مُحَمَّدٍوَّعَلٰى اٰلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلٰى إِبْرَاهِيْمَ وَعَلٰى اٰلِ إِبْرَاهِيْمَ إِنَّكَ حَمِيْدٌ مَّجِيْدٌ

Allaahumma salli 'alaa Muhammadinw wa 'alaa aali Muhammadin kamaa sallaita 'alaa ibraaheema wa 'alaa aali ibraaheema innaka hameedum majeed

Allaahumma baarik 'alaa Muhammadinw wa 'alaa aali Muhammadin kamaa baarakta 'alaa ibraaheema wa 'alaa aali ibraaheema innaka hameedum majeed

Tarjama:

Aye Allah ! Rahmat naazil farma Muhammad (ﷺ) par aur aap ki aal par jaise ke tu ne rahmat naazil farmaai ibrahim ('Alaihis Salam) par aur unki aal par, beshak tu taareef ke laaiq badi buzurgi waala hai.

Aye Allah ! Barkat naazil farma Muhammad (ﷺ) par aur aap ki aal par jaise ke barkat naazil farmaai tu ne ibrahim ('Alaihis Salam) par aur unki aal par, beshak tu taareef ke laaiq badi buzurgi waala hai.

(Bukhari: 3370)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEh08egLlrgzL6Uh3ieuBj1fLNVOZOeMYLXHeDuG9-yOahVX0AOfLJDfEOxWZ6Hf2yLRKH3vKhcRvQqW4fbCGTZgB70T_S1puWDSwqW_AOoYLGtCXm4DuVe0Vm0EVyd7PaYYos_AJM06t8Q/s1600/Durood-Shareef.jpg

Saturday, 29 October 2016

Duaa-e-Maasoorah

اللّٰهُمَّ إِنِّيْ ظَلَمْتُ نَفْسِيْ ظُلْمًا كَثِيْرًا وَّلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ فَاغْفِرْ لِيْ مَغْفِرَةً مِّنْ عِنْدِكَ وَارْحَمْنِيْ إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُوْرُ الرَّحِيْمُ

Allaahumma innee zalamtu nafsee zulman kaseeranw walaa yagfiruz zunooba illaa antafagfirlee magfiratam min 'indika warhamnee innaka antal gafoorur raheem

Tarjama: Aye Allah ! Main ne apne nafs par bahut ziyaada zulm kiya aur siwaaye tere aur koi gunaahon ko bakhsh nahin sakta pas tu apni khaas bakhshish se mujh ko bakhsh de aur mujh par raham farma de beshak tu hi bakhshne waala nihaayat raham karne waala hai.

(Bukhari: 834)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp